BAITH KYA HAI???

0
58

BAITH KYA HAI???? AUR BAITH KARNE KA MAQSAD KYA HAI???? AUR BAITH KIN LOGON KE HAATH PER KI JA SAKTI HAI???

إِنَّ ٱلَّذِينَ يُبَايِعُونَكَ إِنَّمَا يُبَايِعُونَ ٱللَّهَ   (SUREH AL FATEH 10)

TARJUMA:- BESHAK JO LOG AAP SE BAITH KAR RAHE HAIN WO ALLAH HI SE BAITH KARTE HAIN

TAFSEER O BATINI MAYNE: IS AYAT MEIN ALLAH TAALA NE TAMAM SADIKEEN SACHEY LOGON KA ZIKR FARMAYA HAI.SACHEY LOGON SE MURAD AMBIYA IKRAM ALAIHISALAM AUR WARISANEY AMBIYA IKRAM ALAIHIM AHLE BAITH BHI KEHTE HAIN.

TOH IN TAMAM SADIKEEN KO YAAD KARKE FARMATA HAI KE JO LOG INKI PAIRWI KARENGE AUR UNKE SAATH WAFADAR RAHENGE GOYA UNHONE ALLAH TAALA SE WAFADARI KI.

ALLAH TAALA NE JAB IS KAYNAT KE NIZAM MEIN INSANI ZINDAGI KA AGAZ KARNA CHAHA TOH SABSE PEHLE EK REHBAR KO PAIDA FARMAYA,TAKEY RUH E ZAMEEN PER YEH DUSRE INSANO KO ZINDAGI KE TAUR TARIKEY AUR ADAAB SIKHAYE AUR ZUR ZINDAGI KA MAKSAD YANI ALLAH TAALA KI ZAAT KE BAARET MEIN BAAT PESH KAREY.

IN REHBARAN MEIN PEHLA SILSILA AMBIYA IKRAM ALAHISALAM KA HAI AUR SARKAR E MADINA RAHAT QALB O SEENA ﷺ PER YEH NABUWAT KA SILSILA TAMAM HUA.

NABUWAT KE BAAD WILAYAT KA SILSILA SHURU HUA,WILAYAT MAULAYE KAIYNAT HUZOOR SYEDNA IMAM ALI RADEYALLAHU ′ANHU SE SHURU HOTA HAI.WILAYAT BHI REHBARI KA OHDA HAI.AUR YEH REHBARAN KA SILSILA TA QAYAMAT JARI RAHEGA,YANI JAB TAK IS DUNIYA MEIN INSANI ZINDAGI CHALTI RAHEGI,TOH SACHEY LOG AHLE BAITH AULIYA ALLAH BHI MAUJOOD RAHENGE. AUR JAB KOI REHBAR NA RAHEY TOH YEH KAIYNAT KA NIZAM BHI KHATAM HO JAYEGA TOH REHBAR KAMIL KA SAATH SOHBAT ATAAT YEH SAB ZARURI HAI

BAITH KYA HAI

يَدُ ٱللَّهِ فَوۡقَ أَيۡدِيهِمۡۚ (AYAAT AL FATEH 10)

TARJUMA:-AUR UNKE HAATH PER ALLAH TAALA KA HAATH HOTA HAI.

TAFSEER O BTINI MAYNE:- IS AYYAT MEIN ALLAH TAALA TAMAM LOGON KO MUKHATIB KARKE FARMATA HAI KE JO LOG MERI TARAF SE BHEJE GAYE, LOGON KI ATAAT GUZARI KARENGE,UNKI BAAT MANEGEY AUR HAQ AUR SACH PER KAYAM REHNE KI BAITH KAREY,DAR HAQIQAT UNHONE MUJHSE WAFADARI KI, MUJHSE WAFA KA AHAD NIBHAYA, UN LOGON NE JINHONE SADIQEEN SE WAFADARI KI.

BAITH KYA HAI

فَمَن نَّكَثَ فَإِنَّمَا يَنكُثُ عَلَىٰ نَفۡسِهِۦۖ (SUREH FATEH AYAAT NO 10)

TARJUMA:-JO IS AHAD KO TOUD DEGA SO TOUDNE KA WABAL KHUD USI PER HOGA.

TAFSEER O BATINI MAYNE:-IS AYAAT MEIN ALLAH TAALA NE UN LOGON KE BAREY MEIN IRSHAD FARMATA HAI,JO LOG SABIT KADAM RAHEY AUR SAATH NIBHANE KA WAADA PURA KAREY. JO WAADA UNSE UNKI PAIDAISH SE PEHLE LIYA GAYA THA,APNE QAUL PER KAYAM RAHE.TOH ALLAH TAALA UNKO BADA AJAR-E-AZEEM ATA FARMAYEGA,BADA AJAR-E-AZEEM SE MURAAD ZAAT E KHUDA WANDI KA DIDAR AUR RAB KA SAATH.

JAB ALLAH TAALA NE TAMAM ARWAH KO PAIDA FARMAYA TOH UNSE APNE RABUBIYAT KA AHAD LIYA.”KYA MEIN TUMHARA RAB NAHI HU?” TOH SABNE IQRAR KIYA THA KE BESHAK TU HI TOH HAI JO HAMARA KHALIQ O MALIK HAI.

TOH SADIQEEN KI PAIRWI KARNA UNKI BAATON PER AMAL KARNA UNKE SAATH CHALNA,ZINDAGI GUZARNA,UNKE QAUL O AMAL KE MUTABIQ USI KO BAITH KEHTE HAIN.AUR BAITH SADIQEEN,AHLE BAITH,KAMIL AULIYA IKRAM AUR KAMIL MURSHID SE HI MUMKIN HAI,HAR KOI BAITH NAHI DE SAKTA NA HAR KISISE BAITH LI JA SAKTI HAI.

BAITH KE TOTAL CHAAR SILSILEY HAIN.

SILSILA-E-NAKSHBANDIYA:-HAZRAT SYEDNA ABUBAKAR SIDDIQUE RADEYALLAHU ′ANHU (IS SILSILEY KE BADEY BUZURG HAZRAT MUJADDID ALIF SANI(R.A) HAIN)

SILSILA-E-SOHARWARDIYA:-HAZRAT SYEDNA UMAR FAROOQ RADEYALLAHU ′ANHU (IS SILSILE KE BADEY BUZURG HAZRAT SHAIKH SHAHBUDDIN SOHARWARDI(R.A) HAIN)

SILSILA-E-QUADRIYA:-HAZRAT SYEDNA USMAN GANI RADEYALLAHU ′ANHU (IS SILSILE KE BADEY BUZURG PEERAN-E-PEER HAZRAT SHAIKH ABDUL QADIR JILANI(R.A) HAIN)

SILSILA-E-CHISHTIYA:-HAZRAT SYEDNA IMAM ALI MURTUZA RADEYALLAHU ′ANHU (IS SILSILE KE BADEY BUZURG HAZRAT KHWAJA GARIB NAWAZ SHAH MOINUDDIN CHISHTI AJMERI(R.A) HAIN)

HUZOOR E PAAK ﷺ NE AAKHRI KHUTBA MEIN IN CHAAR KHULFA-E-RASHIDEEN KO APNA JANASHEEN MUKARRAR FARMAYA, AUR FRMAYA KE MERE DEEN KO SILSILON MEIN(KHILAFAT/WILAYAT) MEIN TALASH KARO.

JIN REHBARON, ULMA IKRAM IN SILSILON SE KOI TALLUK NA HO, WO RAAH E HAQ PER NAHI HOTE.ILM-E-HAQIQAT NAHI HOTA INKE PASSS SO YEH BAITH KE WARIS NAHI HOTE HAIN.

BAITH KA MAKSAD:-ASMANI ULOOM DO KISIM KE HOTE HAIN.WO DONO ULOOM EK ILM-E-ZAHIR HAI AUR DUSRA ILM-E-BATIN.

ALLAH TAALA NE YEH DONO ULOOM HUZOOR E PAAK ﷺ KO ATAA FARMAYE AUR AAP ﷺ SE UMAAT TAK AA PAUCHI.

ZAHIRI ILM YEH KITAB KO MILA HAI AUR YEH AAPKO KITAB SE HASIL HOGA.

BATINI ILM YEH WALI ALLAH KE SINEY SE HASIL HOTA HAI,KAMIL MURSHID KAMIL REHBAR KE HAATH PER BAITH KARNE SE MILTA HAI.

ILM E ZAHIR SE MURAD ILM E SHARIYAT AUR ILM E BATIN SE MURAD TARIQAT,HAQIQAT,MARIFAT.

ILM KE DO BARTAN:-SAHABI-E-RASOOL ﷺ JANAB HAZRAT ABU HURAIRA RADEYALLAHU ′ANHU FARMATE HAIN KE MUJHE RASOOL ALLAH ﷺ SE ILM KE DO BARTAN HASIL HUE.JO MAINE EK TOH LOGON MEIN PHELAYA AUR DUSRA AISA HAI KE AGER MEIN PHELAON TOH YEH SHAHE RAG DI JAYE.( SAHI BUKHARI KITABUL ILM BAAB HIFZUL ILM 120)

YANI ALLAH TAALA ZAHIR BHI HAI AUR BATIN BHI HAI.

BATINI ILM ZAAT E BAARI TAALA KI PEHCHAN AUR ISI MAKSAD KE LIYE ILM E BATIN KA HUSOOL LAZIM O MALZOOM HAI. ZINDAGI KA MAKSAD HI KHUDA TAALA KI PEHCHAN HAI.KHUDA TAALA KI PEHCHAN KHUD KI PEHCHAN SE HASIL HOTI HAI.

BAITH KYA HAI

مَن عَرَفَ نَفسَہٗ فَقَد عَرَفَ رَبَّہٗ 

TARJUMA:-JISNE KHUD KO PECHANA USNE KHUDA KO JANA. AUR KHUD KI PEHCHAN KAMIL MURSHID KE BAITH SE MILTI HAI.

JAZAKALLAH MIN KHAIRAN KASIRA…..

LIKHNE MEIN YA KUCH KEHNE MEIN GALTI HUI HO TOH MAAFI KI TALABGAR HU…

EK CHOTI SI KOSHISH HAIN BUZURGON KI TALIMAAT KO SAB TAK PAUCHANE KI AUR HAQ KE RAASTE PER CHALNE KI DAWAT HAI.

INSAAN KE BARZAKH KA KALMA HI NAMUNA HAI….. YEH BAAT SAMAJHNE KO BAITH TERI HONA HAI(HAZRAT SARKAR PEER AADIL(R.A))

KHAAK PAAYE PEER

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here