KARAMAT E MAKHMALI PEER(R.A)

KARAMAT E MAKHMALI PEER

0
43

Jab bhi KARAMAT-E-MAKHMALI PEER(R.A) ka zikr aayega Alhamdullilah zehen mein jo sabse pehla naam aayega wo HAZRAT MAKHDOOMA MAA SAHEBA(R.A) ka hi hoga, aur yeh sirf baat nahi haqiqat hai.

HAZRAT SYEDA REHANA PARVEEN QUADRIYA UL CHISHTIYA MAKHDOOMA MAA SAHEBA(R.A) apne peer o murshid HAZRAT KHWAJA SUFI SHAIKH MOHAMMED YUNUS ALI SHAH QUADRI UL CHISHTI IFTEKHARI CHIRAG E PEER AADIL,MAKHMALI PEER(R.A) ki 1997 se mureed e ba safa hain. Unhone kafi badi tadad mein logon ko paigam e haq pauchaya aur apne Peer o murshid ke dast e haq per baith hone ka sharf hasil karwaya. Puri zindagi ishq e khudawandi mein guzari aur apne bete aur betiyon ko bhi is raah mein lagaya. Aap ke walid ka naam Raees ahmed khan tha aur aapki walida ka naam Husan bano tha. Aap ke walid aur walida dono ko buzurgan e deen se bohat mohabbat thi, aur wohi mohabbat maa saheba mein aayi. bachpan se hi aapko auliya ikram se mohabbat rahi hai.

Hazrat Makhdooma Maa Saheba(R.A) 1967 mein azdawaji zindagi mein munsalik hui, aur aapki shadi SYED ZAFAR ALI(R.A) se hui. Aap ke shauhar bhi naik sifat insan rahe aur unka parda 1996 mein hua aur aapke shauhar ke parde ke baad aapne deen ke hisab se iddat ki muddat puri ki aur iddat ke baad hi aapki mulaqat aapke Peer o murshid se 1997 mein hui. Yehi wo waqt tha jab HAZRAT MAKHDOOMA MAA SAHEBA(R.A) zindagi bandagi mein badal gayi.

HAZRAT MAKHDOOMA MAA SAHEBA(R.A) ne 19 saal apne Peer o Murshid ki bohat khidmat ki aur deen ki bhi khidmat anjam di. Logon ko paigam e haq diya aur unko silsile se waqeef karwaya, aur apne bacho ko Peer o Murshid ki khidmat mein rakha. 6 november 2016 ko Maa saheba ka wisal hua. Aur wisal ke 3 mahine baad aapki qabr e mubarak mein aapka jasad e mubarak sahi salamat aur aapka kafan bhi sahi salamat nikla. Jiska nazara puri duniya ne aur purey ahle silsila ne kiya. Iske kuch photo aur kuch video upload ki jayegi, takey aapko is baat ki tasdeeq ki ja sakey.

https://youtu.be/B6Oq6sZPMpc?si=w2DNppVawypnRwH-
https://youtu.be/JLSd_2yIetg?si=xhREYe3ogehGZZPP

JazakAllah min khairan kasira Ager likhne mein koi galti ya gustakhi hui ho toh maafi chahti hu…

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here